tujhay shaed khabar ho gi,
mujhy teri muhabbat ne,
bohot buzdil bana dala,
main har us shay se darta hun,
tujhy jo cheen sakti ha,
main un lamhon se darta hun,
judai jin main rehti ha,
main un askhun se darta hun,
jo ban kar yad behty hain,
main un lafzoon se darta hun,
jo khamoshi main rehty hain,
bicharny ki mere hamdam,
main har soorat se darta hun,
tujgy shayad khabar ho gi,
mujhay teri muhabbat ne,
bohot buzdil bana dala,
Aghaz-E-Ishq Jab Tera Anjaam Aay Ga
Kia Kia Na Apni Zaat Par Ilzaam Aay Ga
Kesi Aziyaton Se Guzar Jaay Ga Ye Dil
Kis Dukh Se Mere Lub Pay Tera Naam Aay Ga
Jaa Tho Raha Hai Dil Tere Iqraar Ki Taraf
Main Jaanta Hoon Lout Key Na-Kaam Aay Ga
Honton Ka Lamas De Key Mujeh Os Ny Ye Kaha
Lay Jaa Ise’ Safar Mein Tere Kaam Aay Ga
Jub Mustjaab Hoga Duaon Ka Silsila
Ik Aur Dasht-E-Hijr Mere Naam Aay Ga!





















