Ghazal: Muqaddar azmany main

On January 26, 2011, in Poetry, Poetry, Urdu Poetry, Wallpapers, by admin

Here is beautiful poetry i want to share with you friends please appreciate and feedback!


Ek chehra nayab dikhayi deta hai,
Khawbon mai bhi khawab dikhayi deta hai,

Kon hai jis ki khatir yeh pagal dil,
Har lamha betaab dikhayi deta hai,

Tere hi jalwon se mere afsane ka,
Roshan eke k baab dekhayi deta hai,

Pehli chahat ka nanha sa poda bhi,
Jiwan bhar shadab dikhayi deta hai,

Sapnon ki jab koi basti basti hai,
Be mousam selaab dekhayi deta hai,

Ghat’ti umr ki dolat kis ko dikhti hai,
Bas maal-o-asbaab dekhayi deta hai,

DUKH jaye jab RAGHIB wo roshan chehra
Phir kis ki mehtaab dekhayi deta hai…!!!!!

Gham ha ya khushi hai tu

On August 27, 2010, in Poetry, Poetry, Urdu Poetry, Wallpapers, by admin
Gham ha ya khushi ha tu
Meri zindagi ha tu,
Aaftoon k dour main,
Chain ki ghari ha tu,
Main khazan ki sham hoon,
Rut bahar ki ha tu,
Dostoon kay darmyan,
Wajh e dosti ha tu,
Meri sari umar main,
Aik hi kami ha tu,
Main to nahi raha,
Han magar wohi ha tu,
Nasir ◊ isi dyaar main,
kitna ajnabi ha tu


Gham ha ya khushi ha tu

Behtareen Ghazal

On August 5, 2010, in Poetry, Poetry, Urdu Poetry, Wallpapers, by admin

Meray soz e dil kay jalway ye makaan makaan ujaly,

Meri aah e pur asar nay kai aaftaab dhaly,

mujhy gardish e falak se nahi ehtjaaj koi,

kay mataa jan o dil ha teri zulf kay hawaly,

Best Urdu Poetry

Meray soz e dil kay jalway, ye makan makan ujaaly,

ye hayaat ki kahani ha fanah ka aik sagar,

tu laboon say muskura kar isi jaam ko laga lay,